|
This blog is dedicated to my friend who is no more with us.Ek gazal hai uske naam ....Is gazal ko sun kar uski bahut yaad aati hai..Kuch din se lagataar sun rahi hoon ..baar baar sun rahi hoon.Kyon chale jaatey hai log ek aise jahaan main jahan se laut kar nahin aatey..koi kitna bhi roye..kitna bhi pukare..Uski kami hamesha rahegi zindagi main.Aaj dil bahut bechain hai.Uski yaad hai aur aankhein namm bhi nahin ho sakti
Yeh Gazal media player main bhi hai..kyon ki jo dard us awaaz main hai,In shabdon main nahin bayaan ho sakta..Jagjit Singh ne itne dard ke saath gayi hai ki har lafaz par aansoon jhalak jaate hain..
Tu har pal mere saath rehti hai
Teri yaadein din raat rehti hai
Bus ek teri awaaz nahin sun paati hoon main
Shayad isliye yeh zindagi udaas rehti hai

Chitti na koi sandes jaane woh kon sa des jahaan tum chale gaye
Is dil pe laga ke thes jaane woh kon sa des jahan tum chale gaye
Ik aah bhari hogi ..humne na suni hogi
Jaatey jaatey tumne aawaz toh di hogi
Har wakt yahi hai gum ; Us wakt kahan they hum
Kahaan tum chale gaye
Chitti na koi sandes jaane woh kon sa des jahaan tum chale gaye
Is dil pe laga ke thes jaane woh kon sa des jahan tum chale gaye
Har cheez pe ashkon se likha hai tumhara naam
Yeh rastey ghar galiyaan tumnhe kar na sake salaam
Hai dil main reh gayi baat ; Jaldi se chuda kar haath
Kahaan tum chale gaye
Chitti na koi sandes jaane woh kon sa des jahaan tum chale gaye
Is dil pe laga ke thes jaane woh kon sa des jahan tum chale gaye
Ab yaadon ke kaantey is dil main chubtey hain
Na dard theharta hai Naa aansoon ruktey hain
Tumhe doond raha hai pyaar hum kaise karein ikraar
Ke haan tum chale gaye
Chitti na koi sandes jaane woh kon sa des jahaan tum chale gaye
Is dil pe laga ke thes jaane woh kon sa des jahan tum chale gaye
Miss you Angel!!
|